aankh bhar aai hai meri sile sile lafz hain
aañkh bhar aa.ī hai merī siile siile lafz haiñ
ye mirī rūdād mere giile giile lafz haiñ
vasl-e-ḳhush-imkān ko bhūlā nahīñ vo hijratī
kesarī naame haiñ jin meñ niile niile lafz haiñ
dekh le tū khol kar apnī ye zambīl-e-suḳhan
aur to kuchh bhī nahīñ kaḌve kasīle lafz haiñ
zindagī kaḌvī hai par ḳhush-zā.eqa merā kahā
hoñT rakh kar dekh le mīThe rasīle lafz haiñ
sher kī mahfil meñ sab se muḳhtalif merī ġhinā
kāñch jaisā halq hai aur sab surīle lafz haiñ
ek do 'mahnāz-anjum' hoñ gulābī phuul bhī
dhyān kī Tahnī pe kitne piile piile lafz haiñ
aankh bhar aai hai meri sile sile lafz hain
ye meri rudad mere gile gile lafz hain
wasl-e-KHush-imkan ko bhula nahin wo hijrati
kesari name hain jin mein nile nile lafz hain
dekh le tu khol kar apni ye zambil-e-suKHan
aur to kuchh bhi nahin kaDwe kasile lafz hain
zindagi kaDwi hai par KHush-zaeqa mera kaha
honT rakh kar dekh le miThe rasile lafz hain
sher ki mahfil mein sab se muKHtalif meri ghina
kanch jaisa halq hai aur sab surile lafz hain
ek do 'mahnaz-anjum' hon gulabi phul bhi
dhyan ki Tahni pe kitne pile pile lafz hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.