aankh chhup-chhup kar milane ka maza kuchh aur hai
aankh chhup-chhup kar milane ka maza kuchh aur hai
Bhagwan Khilnani Saqi
MORE BYBhagwan Khilnani Saqi
aañkh chhup-chhup kar milāne kā mazā kuchh aur hai
hāthoñ hāthoñ se chhuḌāne kā mazā kuchh aur hai
intizārī be-qarārī āh-o-zārī sar-ba-sar
is tarah dil ko jalāne kā mazā kuchh aur hai
ab vo pahlī sī mirī shohrat nahīñ to kyā huā
jiit kar bhī haar jaane kā mazā kuchh aur hai
saath tere giit gaane kā mazā kuchh aur thā
ab akele giit gaane kā mazā kuchh aur hai
pohñch kar 'sāqī' sar-e-manzil mazā aayā bahut
lauT kar manzil se jaane kā mazā kuchh aur hai
aankh chhup-chhup kar milane ka maza kuchh aur hai
hathon hathon se chhuDane ka maza kuchh aur hai
intizari be-qarari aah-o-zari sar-ba-sar
is tarah dil ko jalane ka maza kuchh aur hai
ab wo pahli si meri shohrat nahin to kya hua
jit kar bhi haar jaane ka maza kuchh aur hai
sath tere git gane ka maza kuchh aur tha
ab akele git gane ka maza kuchh aur hai
pohnch kar 'saqi' sar-e-manzil maza aaya bahut
lauT kar manzil se jaane ka maza kuchh aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.