aankh hai aaina hai mashal hai
aañkh hai aa.ina hai mash.al hai
koī tasvīr to mukammal hai
is jagah shahr honā chāhiye thā
sāmne dekhiye to jañgal hai
maiñ bhī eḌī pe ghuum jā.ūñgā
aur ye be-kalī bhī do-pal hai
bas mujhe darmiyān meñ rakhnā
aañkh ojhal pahāḌ ojhal hai
ye to manzar pe munhasir hogā
mudda.ā dasht hai ki bādal hai
aankh hai aaina hai mashal hai
koi taswir to mukammal hai
is jagah shahr hona chahiye tha
samne dekhiye to jangal hai
main bhi eDi pe ghum jaunga
aur ye be-kali bhi do-pal hai
bas mujhe darmiyan mein rakhna
aankh ojhal pahaD ojhal hai
ye to manzar pe munhasir hoga
muddaa dasht hai ki baadal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.