aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi
aañkh hī aañkh thī manzar bhī nahīñ thā koī
tū nahīñ tere barābar bhī nahīñ thā koī
mere bāhar to kisī maut kā sannāTā thā
aisī tanhā.ī ki andar bhī nahīñ thā koī
kyā tamāshā hai ki phir jism mirā bhiig gayā
rāste meñ to samundar bhī nahīñ thā koī
aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi
tu nahin tere barabar bhi nahin tha koi
mere bahar to kisi maut ka sannaTa tha
aisi tanhai ki andar bhi nahin tha koi
kya tamasha hai ki phir jism mera bhig gaya
raste mein to samundar bhi nahin tha koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.