aankh ho aur koi KHwab na ho
aañkh ho aur koī ḳhvāb na ho
nāzil aisā kahīñ azaab na ho
kuchh to mahfūz rakhiye siine meñ
zindagānī khulī kitāb na ho
sarf kiije na is qadar ḳhud ko
laakh chāho to phir hisāb na ho
is liye kāTtā huuñ ye ghaḌiyāñ
vaqt kī chaal kāmyāb na ho
guuñj kaisī hai kohsāroñ meñ
ye kisī chīḳh kā javāb na ho
kyā chamaktā hai tapte sahrā meñ
dekh chhū kar kahīñ ye aab na ho
ye jalan piiTh meñ hai kyuuñ 'fārūq'
pusht par terī āftāb na ho
aankh ho aur koi KHwab na ho
nazil aisa kahin azab na ho
kuchh to mahfuz rakhiye sine mein
zindagani khuli kitab na ho
sarf kije na is qadar KHud ko
lakh chaho to phir hisab na ho
is liye kaTta hun ye ghaDiyan
waqt ki chaal kaamyab na ho
gunj kaisi hai kohsaron mein
ye kisi chiKH ka jawab na ho
kya chamakta hai tapte sahra mein
dekh chhu kar kahin ye aab na ho
ye jalan piTh mein hai kyun 'faruq'
pusht par teri aaftab na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.