aankh ho to bura bhala dekhe
aañkh ho to burā bhalā dekhe
be-basar aa.ine meñ kyā dekhe
zindagī kī hasīn rāhoñ meñ
karbalā ham ne jā-ba-jā dekhe
andhā sāvan kā ho to chāroñ taraf
koī rut ho harā-bharā dekhe
us ko aa.egā mo.ajiza hī nazar
aql se jo bhī māvarā dekhe
ḳhushbuoñ kī bahār se aarī
phuul kāġhaz ke ḳhushnumā dekhe
be-amal ko hamesha duniyā ne
ḳhvāb hī dekhte sadā dekhe
bhūltā hī nahīñ vafā paikar
bārhā ham use bhulā dekhe
manzileñ DhūñDhtī rahīñ jin ko
ham ne aise bhī rahnumā dekhe
ek hī chehra hai magar 'siddīq'
rang-hā-e-judā-judā dekhe
aankh ho to bura bhala dekhe
be-basar aaine mein kya dekhe
zindagi ki hasin rahon mein
karbala hum ne ja-ba-ja dekhe
andha sawan ka ho to chaaron taraf
koi rut ho hara-bhara dekhe
us ko aaega moajiza hi nazar
aql se jo bhi mawara dekhe
KHushbuon ki bahaar se aari
phul kaghaz ke KHushnuma dekhe
be-amal ko hamesha duniya ne
KHwab hi dekhte sada dekhe
bhulta hi nahin wafa paikar
barha hum use bhula dekhe
manzilen DhunDhti rahin jin ko
hum ne aise bhi rahnuma dekhe
ek hi chehra hai magar 'siddiq'
rang-ha-e-juda-juda dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.