Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh jhukti hai na wo rang-e-haya jata hai

Waseem Haidar

aankh jhukti hai na wo rang-e-haya jata hai

Waseem Haidar

MORE BYWaseem Haidar

    aañkh jhuktī hai na vo rang-e-hayā jaatā hai

    yaar vo shaḳhs baḌe zaḳhm lagā jaatā hai

    maiñ vo patthar huuñ ki vahshat meñ uThā kar jis ko

    be-sabab yūñhī kahīñ pheñk diyā jaatā hai

    zindagī jaise koī tez havā jhoñkā

    yūñhī aatā hai zarā ḳhaak uḌā jaatā hai

    maiñ kisī sā’at-e-maujūd meñ maujūd nahīñ

    maiñ vo lamha nahīñ jis ko jiyā jaatā hai

    be-gila yuuñ bhī hai har shaḳhs na.e hākim se

    jo gila karne ko jaatā hai galā jaatā hai

    maiñ vo raste meñ bhaTaktā huā andhā huuñ 'vasīm'

    jis ko har shaḳhs ġhalat raah lagā jaatā hai

    aankh jhukti hai na wo rang-e-haya jata hai

    yar wo shaKHs baDe zaKHm laga jata hai

    main wo patthar hun ki wahshat mein uTha kar jis ko

    be-sabab yunhi kahin phenk diya jata hai

    zindagi jaise koi tez hawa ka jhonka

    yunhi aata hai zara KHak uDa jata hai

    main kisi sa’at-e-maujud mein maujud nahin

    main wo lamha hi nahin jis ko jiya jata hai

    be-gila yun bhi hai har shaKHs nae hakim se

    jo gila karne ko jata hai gala jata hai

    main wo raste mein bhaTakta hua andha hun 'wasim'

    jis ko har shaKHs ghalat rah laga jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now