aankh ko dil ka azadar nahin hone diya
aañkh ko dil kā azādār nahīñ hone diyā
ya.anī patthar kā sazā-vār nahīñ hone diyā
us kī āñkhoñ meñ ra.ūnat mirī āñkhoñ meñ ḳhumār
donoñ dariyāoñ kā inkār nahīñ hone diyā
maiñ ne phir chuum ke batlāyā ki vo zinda hai
maiñ ne us shaḳhs ko dīvār nahīñ hone diyā
ham use hijr kī bhaTTī meñ nahīñ jhoñk sake
ham ne is nuur ko finnār nahīñ hone diyā
reshmī kaan masā.ib bhī nahīñ sun sakte
is liye karb kā iz.hār nahīñ hone diyā
ek devī thī jo āñkhoñ se suḳhan bāñTtī thī
us ne ham aisoñ ko bekār nahīñ hone diyā
jab use bhūlne lagte vo nazar aa jaatā
us ne but-ḳhāne ko mismār nahīñ hone diyā
aankh ko dil ka azadar nahin hone diya
yani patthar ka saza-war nahin hone diya
us ki aankhon mein raunat meri aankhon mein KHumar
donon dariyaon ka inkar nahin hone diya
main ne phir chum ke batlaya ki wo zinda hai
main ne us shaKHs ko diwar nahin hone diya
hum use hijr ki bhaTTi mein nahin jhonk sake
hum ne is nur ko finnar nahin hone diya
reshmi kan masaib bhi nahin sun sakte
is liye karb ka izhaar nahin hone diya
ek dewi thi jo aankhon se suKHan banTti thi
us ne hum aison ko bekar nahin hone diya
jab use bhulne lagte wo nazar aa jata
us ne but-KHane ko mismar nahin hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.