aankh kuchh be-sabab hi nam to nahin
aañkh kuchh be-sabab hī nam to nahīñ
ye kahīñ aap kā karam to nahīñ
ham ne maanā ki raushnī kam hai
phir bhī ye sub.h shām-e-ġham to nahīñ
'ishq meñ bandisheñ hazār sahī
bandish-e-dāna-o-diram to nahīñ
thā kahāñ 'ishq ko salīqa-e-ġham
vo nazar mā.il-e-karam to nahīñ
monis-e-shab rafīq-e-tanhā.ī
dard-e-dil bhī kisī se kam to nahīñ
vo kahāñ aur kahāñ sitamgārī
kuchh bhī kahte hoñ log ham to nahīñ
shikve kī baat aur hai varna
lutf-e-paiham koī sitam to nahīñ
dekh ai qissa-go-e-ranj-e-firāq
nok-e-mizhgān-e-yār nam to nahīñ
un ke dil se savāl kartā hai
ye tabassum sharīk-e-ġham to nahīñ
aankh kuchh be-sabab hi nam to nahin
ye kahin aap ka karam to nahin
hum ne mana ki raushni kam hai
phir bhi ye subh sham-e-gham to nahin
'ishq mein bandishen hazar sahi
bandish-e-dana-o-diram to nahin
tha kahan 'ishq ko saliqa-e-gham
wo nazar mail-e-karam to nahin
monis-e-shab rafiq-e-tanhai
dard-e-dil bhi kisi se kam to nahin
wo kahan aur kahan sitamgari
kuchh bhi kahte hon log hum to nahin
shikwe ki baat aur hai warna
lutf-e-paiham koi sitam to nahin
dekh ai qissa-go-e-ranj-e-firaq
nok-e-mizhgan-e-yar nam to nahin
un ke dil se sawal karta hai
ye tabassum sharik-e-gham to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.