aankh mein aansu Thahra hai
aañkh meñ aañsū Thahrā hai
dil par ġham kā pahrā hai
ik din bhar hī jā.egā
ghaav jo dil meñ gahrā hai
merī chāroñ samt abhī
rañj-o-alam kā sahrā hai
ḳhauf kahāñ mere dil meñ
ye sardī kā lahrā hai
merī baat pe kyuuñ chup hai
kyā tū gūñgā bahrā hai
aankh mein aansu Thahra hai
dil par gham ka pahra hai
ek din bhar hi jaega
ghaw jo dil mein gahra hai
meri chaaron samt abhi
ranj-o-alam ka sahra hai
KHauf kahan mere dil mein
ye sardi ka lahra hai
meri baat pe kyun chup hai
kya tu gunga bahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.