aankh mein kuchh kami si baqi hai
aañkh meñ kuchh kamī sī baaqī hai
dil meñ rasā-kashī sī baaqī hai
sūkhe sūkhe se lab ye kahte haiñ
ab bhī ik tishnagī sī baaqī hai
ġham-zada honā dekhiye un kā
lab pe qātil hañsī sī baaqī hai
un ke aage zabāñ nahīñ khultī
ham meñ ye hī kamī sī baaqī hai
naap to luuñ maiñ āsmāñ tujh ko
pairoñ meñ kuchh zamīñ sī baaqī hai
aankh mein kuchh kami si baqi hai
dil mein rasa-kashi si baqi hai
sukhe sukhe se lab ye kahte hain
ab bhi ek tishnagi si baqi hai
gham-zada hona dekhiye un ka
lab pe qatil hansi si baqi hai
un ke aage zaban nahin khulti
hum mein ye hi kami si baqi hai
nap to lun main aasman tujh ko
pairon mein kuchh zamin si baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.