aankh mein teri shakl hai dil mein tera jamal hai
aañkh meñ terī shakl hai dil meñ tirā jamāl hai
kis ko ye fursat-e-ḳhayāl hijr hai yā visāl hai
us kī shikastagī na dekh us ke faroġh par na jā
ishq to husn hī kā ek partav-e-lā-yazāl hai
terī nazar kī bijliyāñ kauñd ga.iiñ kahāñ kahāñ
farsh se arsh tak tamām raushnī-e-jamāl hai
pahle thā iztirāb-e-dil rūh-e-ravān-e-āshiqī
rāh-e-fanā meñ ab yahī māne-e-ittisāl hai
ab na vo fikr-e-nāma-bar aur na vo iztirāb-e-dil
apnā javāb aap hī ab mirā har savāl hai
aankh mein teri shakl hai dil mein tera jamal hai
kis ko ye fursat-e-KHayal hijr hai ya visal hai
us ki shikastagi na dekh us ke farogh par na ja
ishq to husn hi ka ek partaw-e-la-yazal hai
teri nazar ki bijliyan kaund gain kahan kahan
farsh se arsh tak tamam raushni-e-jamal hai
pahle tha iztirab-e-dil ruh-e-rawan-e-ashiqi
rah-e-fana mein ab yahi mane-e-ittisal hai
ab na wo fikr-e-nama-bar aur na wo iztirab-e-dil
apna jawab aap hi ab mera har sawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.