aankh mein uski damakte hain sitaron ke hujum
aañkh meñ us kī damakte haiñ sitāroñ ke hujūm
us ko bhāte hī nahīñ dard ke māroñ ke hujūm
rāh-e-ulfat meñ mile ham ko ḳhasāroñ ke hujūm
dil dukhāte hue dekhe sabhī pyāroñ ke hujūm
us ne jaadū sā nigāhoñ ko ajab baḳhshā hai
ab to rahte haiñ sadā un meñ bahāroñ ke hujūm
ek chehra ki rahā yaad hamesha ham ko
hone ko mere the atrāf nazāroñ ke hujūm
vo isī baat pe ham se sadā nālāñ hī rahe
kyuuñ tire saath rahe yaar sahāroñ ke hujūm
ham tire hijr meñ tanhā nahīñ hote haiñ kabhī
jauq-dar-jauq chale aate haiñ yāroñ ke hujūm
aankh mein us ki damakte hain sitaron ke hujum
us ko bhate hi nahin dard ke maron ke hujum
rah-e-ulfat mein mile hum ko KHasaron ke hujum
dil dukhate hue dekhe sabhi pyaron ke hujum
us ne jadu sa nigahon ko ajab baKHsha hai
ab to rahte hain sada un mein bahaaron ke hujum
ek chehra ki raha yaad hamesha hum ko
hone ko mere the atraf nazaron ke hujum
wo isi baat pe hum se sada nalan hi rahe
kyun tere sath rahe yar sahaaron ke hujum
hum tere hijr mein tanha nahin hote hain kabhi
jauq-dar-jauq chale aate hain yaron ke hujum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.