aankh meri ro rahi hai
aañkh merī ro rahī hai
aaj dulhan vo banī hai
zindagī par maiñ hañsā thā
maut mujh par hañs rahī hai
us ne kuchh aise pukārā
har taraf ab be-ḳhudī hai
jīt.te hī jā rahe ho
ishq hai baazī nahīñ hai
ek terī yaad hai ab
ek merī shā.irī hai
dard ai tahrīr dekho
uulā saanī nahīñ hai
aankh meri ro rahi hai
aaj dulhan wo bani hai
zindagi par main hansa tha
maut mujh par hans rahi hai
us ne kuchh aise pukara
har taraf ab be-KHudi hai
jitte hi ja rahe ho
ishq hai bazi nahin hai
ek teri yaad hai ab
ek meri shairi hai
dard ai tahrir dekho
ula sani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.