Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh ne dhoka khaya tha ya saya tha

Inam Nadeem

aankh ne dhoka khaya tha ya saya tha

Inam Nadeem

MORE BYInam Nadeem

    aañkh ne dhoka khāyā thā saayā thā

    vo khiḌkī meñ aayā thā saayā thā

    darvāze ke pīchhe ik parchhā.īñ thī

    us ne haath hilāyā thā saayā thā

    ek lakīr dhueñ thī ḳhushbū

    rañg koī lahrāyā thā saayā thā

    abhī jo mere paas thā shāyad apnā thā

    shāyad koī parāyā thā saayā thā

    niind se jaagā huuñ to baiThā sochtā huuñ

    ḳhvāb meñ us ko paayā thā saayā thā

    aankh ne dhoka khaya tha ya saya tha

    wo khiDki mein aaya tha ya saya tha

    darwaze ke pichhe ek parchhain thi

    us ne hath hilaya tha ya saya tha

    ek lakir dhuen ki thi ya KHushbu ki

    rang koi lahraya tha ya saya tha

    abhi jo mere pas tha shayad apna tha

    shayad koi paraya tha ya saya tha

    nind se jaga hun to baiTha sochta hun

    KHwab mein us ko paya tha ya saya tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now