aañkh paḌte hī na thā naam shakebā.ī kā
dar-e-mai-ḳhāna thā naqsha tirī añgḌā.ī kā
mā-sivā us ke nahīñ jis kā koī aur sharīk
kaun batlā.egā aalam mirī tanhā.ī kā
pāk-dāmānī-e-yūsuf thī zuleḳhā kī sazā
rāsta chaak se paidā huā rusvā.ī kā
saḳhtiyāñ himmat-e-dil ho to badal jaatī haiñ
maut ik khel hai lekin tire shaidā.ī kā
ham ko un mai-kada-e-dahr se ummīd nahīñ
sāġhar ulTā huā hai gumbad-e-mīnā.ī kā
tār-e-malbūs meñ thī yā ḳhat-e-taqdīr meñ thī
haal khultā nahīñ yāqūb kī bīnā.ī kā
aane de niiñd to sab so.eñ magar ai tauba
nāla-e-ishq kā is par shab-e-tanhā.ī kā
dil-e-nāzuk mutahammil nahīñ ġham ho ki surūr
phuul maqtūl hai ḳhud apnī hī ra.anā.ī kā
na huā vasl-e-tamannā na ghaTī vahshat-e-dil
kyā natīja thā mirī bādiya-paimā.ī kā
vo na aa.eñ sar-e-bālīñ ki maiñ bachne kā nahīñ
dam na TuuTe mire saath in kī masīhā.ī kā
aa.ina jis meñ sadā Duub ke ubhrā kyā husn
ek Thahrā huā paanī hai ḳhud-ārā.ī kā
saath dene kā to ehsān hai mujh par lekin
sham.a ne naam Duboyā mirī tanhā.ī kā
husn ke haath bañdhe to vo zarā der sahī
mujh par ehsāñ tirī aa.ī huī añgḌā.ī kā
us ke sunñe ke liye jam.a huā hai mahshar
rah gayā thā jo fasāna mirī rusvā.ī kā
shauq-e-pā-bosī-e-mahbūb thā varna 'sāqib'
sañg-e-dar par koī mauqa thā jabīñ-sā.ī kā
aankh paDte hi na tha nam shakebai ka
dar-e-mai-KHana tha naqsha teri angDai ka
ma-siwa us ke nahin jis ka koi aur sharik
kaun batlaega aalam meri tanhai ka
pak-damani-e-yusuf thi zuleKHa ki saza
rasta chaak se paida hua ruswai ka
saKHtiyan himmat-e-dil ho to badal jati hain
maut ek khel hai lekin tere shaidai ka
hum ko un mai-kada-e-dahr se ummid nahin
saghar ulTa hua hai gumbad-e-minai ka
tar-e-malbus mein thi ya KHat-e-taqdir mein thi
haal khulta nahin yaqub ki binai ka
aane de nind to sab soen magar ai tauba
nala-e-ishq ka is par shab-e-tanhai ka
dil-e-nazuk mutahammil nahin gham ho ki surur
phul maqtul hai KHud apni hi ranai ka
na hua wasl-e-tamanna na ghaTi wahshat-e-dil
kya natija tha meri baadiya-paimai ka
wo na aaen sar-e-baalin ki main bachne ka nahin
dam na TuTe mere sath in ki masihai ka
aaina jis mein sada Dub ke ubhra kya husn
ek Thahra hua pani hai KHud-arai ka
sath dene ka to ehsan hai mujh par lekin
shama ne nam Duboya meri tanhai ka
husn ke hath bandhe to wo zara der sahi
mujh par ehsan teri aai hui angDai ka
us ke sunne ke liye jama hua hai mahshar
rah gaya tha jo fasana meri ruswai ka
shauq-e-pa-bosi-e-mahbub tha warna 'saqib'
sang-e-dar par koi mauqa tha jabin-sai ka
Source :
Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 162)
Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.