aankh par eatibar ho jae
aañkh par e.atibār ho jaa.e
dil ko gar tum se pyaar ho jaa.e
maut bā-e'tibār ho jaa.e
zindagī sharh-dar ho jaa.e
tum ko mil jā.egā sukūñ shāyad
dil agar be-qarār ho jaa.e
hārne vaale hai duā merī
merī har jiit haar ho jaa.e
maut is ko na kyuuñ gavārā ho
zindagī jis pe baar ho jaa.e
jis ko nisbat tumhāre naam se ho
vo ġhazal pur-vaqār ho jaa.e
terī nazroñ se jab gire 'tarzī'
apnī nazroñ meñ ḳhaar ho jaa.e
aankh par eatibar ho jae
dil ko gar tum se pyar ho jae
maut ba-e'tibar ho jae
zindagi sharh-dar ho jae
tum ko mil jaega sukun shayad
dil agar be-qarar ho jae
haarne wale hai dua meri
meri har jit haar ho jae
maut is ko na kyun gawara ho
zindagi jis pe bar ho jae
jis ko nisbat tumhaare nam se ho
wo ghazal pur-waqar ho jae
teri nazron se jab gire 'tarzi'
apni nazron mein KHar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.