aankh se aankh mile ramz khule baat chale
aankh se aankh mile ramz khule baat chale
Muzammil Abbas Shajar
MORE BYMuzammil Abbas Shajar
aañkh se aañkh mile ramz khule baat chale
din nikalne do ki pahlū se mire raat chale
terī chūḌī kī khanak se huā tasḳhīr ye dil
terī āñkhoñ ke ishāroñ pe ḳhayālāt chale
vo sahar-ḳhez hañsī vo tirā sharmā jaanā
kaise kaise mirī hastī pe tilismāt chale
zikr ko neze kī rif.at pe sajāyā jis ne
rah gayā haq kā vo markaz so mazāfāt chale
koī taḳhlīq ke asbāb bhī samjhe nā zarā
ek nuqte se ayaañ rañg yahāñ saat chale
jab maiñ tasḳhīr tire raaz ko kar paayā to
phir mire raqs pe duniyā tire naġhmāt chale
maktab-e-aql paḌhā paḌh ke chalā maiḳhāne
jab na dānā.ī chalī phir mire jazbāt chale
purze purze hai tire hijr meñ pairāhan-e-jāñ
mujh meñ sāñsoñ kī tarah yuuñ tire sadmāt chale
lauT aa.egī mirī samt 'shajar' hariyālī
phir jo ik baar usī lams kī ḳhairāt chale
aankh se aankh mile ramz khule baat chale
din nikalne do ki pahlu se mere raat chale
teri chuDi ki khanak se hua tasKHir ye dil
teri aankhon ke ishaaron pe KHayalat chale
wo sahar-KHez hansi wo tera sharma jaana
kaise kaise meri hasti pe tilismat chale
zikr ko neze ki rifat pe sajaya jis ne
rah gaya haq ka wo markaz so mazafat chale
koi taKHliq ke asbab bhi samjhe na zara
ek nuqte se ayan rang yahan sat chale
jab main tasKHir tere raaz ko kar paya to
phir mere raqs pe duniya tere naghmat chale
maktab-e-aql paDha paDh ke chala maiKHane
jab na danai chali phir mere jazbaat chale
purze purze hai tere hijr mein pairahan-e-jaan
mujh mein sanson ki tarah yun tere sadmat chale
lauT aaegi meri samt 'shajar' hariyali
phir jo ek bar usi lams ki KHairaat chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.