aankh se dur sahi dil se kahan jaega
aañkh se duur sahī dil se kahāñ jā.egā
jaane vaale tū hameñ yaad bahut aa.egā
ḳhvāb sā dekhā hai tā'bīr na jaane kyā ho
zindagī bhar koī ab ḳhvāb hī dohrā.egā
TuuT jaa.eñ na kahīñ pyaar ke nāzuk rishte
vaqt zālim hai har ik moḌ pe Takrā.egā
'ishq ko jurm samajhte haiñ zamāne vaale
jo yahāñ pyaar karegā vo sazā pā.egā
aankh se dur sahi dil se kahan jaega
jaane wale tu hamein yaad bahut aaega
KHwab sa dekha hai ta'bir na jaane kya ho
zindagi bhar koi ab KHwab hi dohraega
TuT jaen na kahin pyar ke nazuk rishte
waqt zalim hai har ek moD pe Takraega
'ishq ko jurm samajhte hain zamane wale
jo yahan pyar karega wo saza paega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.