aankh se gham nihan nahin hote
aañkh se ġham nihāñ nahīñ hote
phir bhī aañsū ravāñ nahīñ hote
umr bhar kā hai terā merā saath
is qadar bad-gumāñ nahīñ hote
ham-kalām un se haiñ tasavvur meñ
asl meñ ye samāñ nahīñ hote
yuuñ to kahne ko ham nahīñ maujūd
par ye socho kahāñ nahīñ hote
pyaar hotā hai yā nahīñ hotā
is meñ vahm-o-gumāñ nahīñ hote
aankh se gham nihan nahin hote
phir bhi aansu rawan nahin hote
umr bhar ka hai tera mera sath
is qadar bad-guman nahin hote
ham-kalam un se hain tasawwur mein
asl mein ye saman nahin hote
yun to kahne ko hum nahin maujud
par ye socho kahan nahin hote
pyar hota hai ya nahin hota
is mein wahm-o-guman nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.