aankh se hijr gira dil ne duhai di hai
aañkh se hijr girā dil ne duhā.ī dī hai
ishq vāloñ kī kahāñ chīḳh sunā.ī dī hai
raat kī shāḳh hilī aur gire piile phuul
dard ke peḌ ne yuuñ ham ko kamā.ī dī hai
shor itnā ki sunā.ī na diyā thā kuchh bhī
aañkh kholī hai to āvāz dikhā.ī dī hai
ab na.e vasl kī sūrat hai nikalne vaalī
hijr ne mere tajassus ko rasā.ī dī hai
din kī parchhā.īñ meñ ik aks laraztā dekhā
shaam Dhalte hī vahī shakl dikhā.ī dī hai
aankh se hijr gira dil ne duhai di hai
ishq walon ki kahan chiKH sunai di hai
raat ki shaKH hili aur gire pile phul
dard ke peD ne yun hum ko kamai di hai
shor itna ki sunai na diya tha kuchh bhi
aankh kholi hai to aawaz dikhai di hai
ab nae wasl ki surat hai nikalne wali
hijr ne mere tajassus ko rasai di hai
din ki parchhain mein ek aks larazta dekha
sham Dhalte hi wahi shakl dikhai di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.