aankh se KHwab bhi nakaam nikal aata hai
aañkh se ḳhvāb bhī nākām nikal aatā hai
faisla dil kā agar ḳhaam nikal aatā hai
tere aane kī ḳhabar aise sunī hai jaise
ek kañgāl kā in'ām nikal aatā hai
mujh ko rātoñ ke ka.ī bhed batā detā hai
jab kabhī chāñd lab-e-bām nikal aatā hai
ek bas merī 'adāvat ke liye hairat hai
shahr kā shahr sar-e-'ām nikal aatā hai
hone lagtī huuñ maiñ auqāt se bāhar us roz
ḳhud se jis roz koī kaam nikal aatā hai
aankh se KHwab bhi nakaam nikal aata hai
faisla dil ka agar KHam nikal aata hai
tere aane ki KHabar aise suni hai jaise
ek kangal ka in'am nikal aata hai
mujh ko raaton ke kai bhed bata deta hai
jab kabhi chand lab-e-baam nikal aata hai
ek bas meri 'adawat ke liye hairat hai
shahr ka shahr sar-e-'am nikal aata hai
hone lagti hun main auqat se bahar us roz
KHud se jis roz koi kaam nikal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.