aankh se tare TuT rahe hain
aañkh se taare TuuT rahe haiñ
ḳhvāb hamāre TuuT rahe haiñ
sābit haiñ ā.īne lekin
aks hamāre TuuT rahe haiñ
saare yaar bichhaḌ jā.eñge
roz sitāre TuuT rahe haiñ
jugnū ban kar maiñ ne dekhā
kuchh añdhiyāre TuuT rahe haiñ
DhūñD rahā hai dariyā kis ko
roz kināre TuuT rahe haiñ
aankh se tare TuT rahe hain
KHwab hamare TuT rahe hain
sabit hain aaine lekin
aks hamare TuT rahe hain
sare yar bichhaD jaenge
roz sitare TuT rahe hain
jugnu ban kar main ne dekha
kuchh andhiyare TuT rahe hain
DhunD raha hai dariya kis ko
roz kinare TuT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.