aankh se unki aansu nikle
aañkh se un kī aañsū nikle
yā muTThī se jugnū nikle
phuul khile to nig.hat kam ho
zaḳhm hañse to ḳhushbū nikle
saath ashkoñ ke ek tasavvur
jaise aap lab-e-jū nikle
terā dhyān aayā yuuñ jaise
barf kī vaadī se lau nikle
khiltī kalī ko chuum liyā hai
haath mire be-qābū nikle
ek meñ duniyā ek meñ uqbā
donoñ haath tarāzū nikle
rañg uḌaa.e hai husn kā 'nāzish'
aap ke sher to jaadū nikle
aankh se un ki aansu nikle
ya muTThi se jugnu nikle
phul khile to nighat kam ho
zaKHm hanse to KHushbu nikle
sath ashkon ke ek tasawwur
jaise aap lab-e-ju nikle
tera dhyan aaya yun jaise
barf ki wadi se lau nikle
khilti kali ko chum liya hai
hath mere be-qabu nikle
ek mein duniya ek mein uqba
donon hath taraazu nikle
rang uDae hai husn ka 'nazish'
aap ke sher to jadu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.