aankh un se milane se kya faeda
aañkh un se milāne se kyā fā.eda
aur dil ko lagāne se kyā fā.eda
koī sapnā in āñkhoñ ko bhātā nahīñ
phir inheñ niiñd aane se kyā fā.eda
rotā chehra koī hañs na paayā kabhī
is tarah muskurāne se kyā fā.eda
gar kisī Thor koī ujālā na ho
to ye dīpak jalāne se kyā fā.eda
farq paḌtā nahīñ hai agar us taraf
sar ye ūñchā uThāne se kyā fā.eda
aankh un se milane se kya faeda
aur dil ko lagane se kya faeda
koi sapna in aankhon ko bhata nahin
phir inhen nind aane se kya faeda
rota chehra koi hans na paya kabhi
is tarah muskurane se kya faeda
gar kisi Thor koi ujala na ho
to ye dipak jalane se kya faeda
farq paDta nahin hai agar us taraf
sar ye uncha uThane se kya faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.