aankh uTThegi to diwana girega
aañkh uTThegī to dīvāna giregā
jhiil dekhe se koī pyāsā giregā
aaj 'uryānī khulegī shāḳh-e-gul kī
aaj kī shab āḳhirī pattā giregā
raat bhar ThiThure kisī ke 'ahd par ham
kyā ḳhabar thī is qadar paara giregā
TūTte rishte na shaa.e hoñ kahīñ so
khiḌkiyoñ par be-vaj.h parda giregā
aaj jo kuchlā gayā būToñ ke nīche
aañkh meñ ik din yahī zarra giregā
bādshāhoñ ko koī ḳhatra nahīñ hai
had se had hogā ki ik pyāda giregā
ḳhuld se aadam zamīñ tak aa gayā hai
kyā pata ab aur ye kitnā giregā
aankh uTThegi to diwana girega
jhil dekhe se koi pyasa girega
aaj 'uryani khulegi shaKH-e-gul ki
aaj ki shab aaKHiri patta girega
raat bhar ThiThure kisi ke 'ahd par hum
kya KHabar thi is qadar para girega
TuTte rishte na shae hon kahin so
khiDkiyon par be-wajh parda girega
aaj jo kuchla gaya buTon ke niche
aankh mein ek din yahi zarra girega
baadshahon ko koi KHatra nahin hai
had se had hoga ki ek pyaada girega
KHuld se aadam zamin tak aa gaya hai
kya pata ab aur ye kitna girega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.