aankh wale sab the lekin dida-war koi na tha
aankh wale sab the lekin dida-war koi na tha
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
aañkh vaale sab the lekin dīda-var koī na thā
kārvāñ bhaTkā huā thā rāhbar koī na thā
maiñ to samjhā thā ki duniyā chal rahī hai saath saath
muḌ ke jab dekhā to merā ham-safar koī na thā
kis se kahte ham tirī mahfil meñ apnā rāz-e-dil
yuuñ to kahne ko sab apne the magar koī na thā
tum se pahle tīrgī meñ gum thī saarī kā.enāt
tum na the to vāqif-e-nūr-e-sahar koī na thā
sham.a thī parvāna thā maiñ thā tumhārī yaad thī
kaise kah duuñ hijr kī shab mere ghar koī na thā
koī letā kaise 'nādim' mere zaḳhmoñ kī ḳhabar
the sabhī hamdard lekin mo'atabar koī na thā
aankh wale sab the lekin dida-war koi na tha
karwan bhaTka hua tha rahbar koi na tha
main to samjha tha ki duniya chal rahi hai sath sath
muD ke jab dekha to mera ham-safar koi na tha
kis se kahte hum teri mahfil mein apna raaz-e-dil
yun to kahne ko sab apne the magar koi na tha
tum se pahle tirgi mein gum thi sari kaenat
tum na the to waqif-e-nur-e-sahar koi na tha
shama thi parwana tha main tha tumhaari yaad thi
kaise kah dun hijr ki shab mere ghar koi na tha
koi leta kaise 'nadim' mere zaKHmon ki KHabar
the sabhi hamdard lekin mo'atabar koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.