aankhen apni meri aankhon se laDao aao
āñkheñ apnī mirī āñkhoñ se laḌāo aao
pyaar se pyaar kī kuchh bāteñ banāo aao
kyā kahā tum ko bhī hai shā.erī paḌhne kā shauq
to mire sher mujhe paḌh ke sunāo aao
dekhnā chāhte haiñ jaadū haqīqat meñ ham
apnī āñkhoñ kā koī jalva dikhāo aao
tazkire bikhre yahāñ kitne hī fankāroñ ke
mere kamre ko kitāboñ se sajāo aao
aankhen apni meri aankhon se laDao aao
pyar se pyar ki kuchh baaten banao aao
kya kaha tum ko bhi hai shaeri paDhne ka shauq
to mere sher mujhe paDh ke sunao aao
dekhna chahte hain jadu haqiqat mein hum
apni aankhon ka koi jalwa dikhao aao
tazkire bikhre yahan kitne hi fankaron ke
mere kamre ko kitabon se sajao aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.