aankhen de aaina de
āñkheñ de ā.īna de
lekin pahle chehrā de
dariyā jaisā sahrā de
us meñ ek jazīra de
lauTā le apnī bastī
mujh ko merā sahrā de
maiñ paidal aur ghoḌe par
sar neze se ūñchā de
rahne de jaltī dhartī
tū sūraj ko saayā de
hirnī jaisī āñkhoñ ko
sahrāoñ ko sapnā de
aankhen de aaina de
lekin pahle chehra de
dariya jaisa sahra de
us mein ek jazira de
lauTa le apni basti
mujh ko mera sahra de
main paidal aur ghoDe par
sar neze se uncha de
rahne de jalti dharti
tu suraj ko saya de
hirni jaisi aankhon ko
sahraon ko sapna de
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 69)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.