aankhen hain josh-e-ashk se panghaT
āñkheñ haiñ josh-e-ashk se panghaT
ashk phirte haiñ in meñ jaise rahaT
maiñ na samjhā thā ḳhuub tere ta.iiñ
hai tū mutrib pisar baḌā naT-khaT
pī ga.e ham surāhī-e-mai ko
dast-e-sāqī se lete hī ġhat-ġhat
terā tīr-e-nigah hai vo kāfir
muñh se ik dam judā tū kar ghūñgaT
samjhe the maar aap dekhī thī
aa.ine meñ kisī kī zulf kī laT
jis ko kahte haiñ arsa-e-hastī
tausan-e-umr kī hai ik sarpaT
'mus.hafī' us ke ruḳh pe ḳhat aayā
ga.e ve din ga.ī vo rut hī palaT
jam ke baiThe na thā jahāñ koī
raat din ab rahe hai vaañ jamghaT
aankhen hain josh-e-ashk se panghaT
ashk phirte hain in mein jaise rahaT
main na samjha tha KHub tere tain
hai tu mutrib pisar baDa naT-khaT
pi gae hum surahi-e-mai ko
dast-e-saqi se lete hi ghat-ghat
tera tir-e-nigah hai wo kafir
munh se ek dam juda tu kar ghungaT
samjhe the mar aap dekhi thi
aaine mein kisi ki zulf ki laT
jis ko kahte hain arsa-e-hasti
tausan-e-umr ki hai ek sarpaT
'mushafi' us ke ruKH pe KHat aaya
gae we din gai wo rut hi palaT
jam ke baiThe na tha jahan koi
raat din ab rahe hai wan jamghaT
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 101)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.