aankhen hamari gham se jo gulnar ho gain

aankhen hamari gham se jo gulnar ho gain
Masharraf Shahryar Kazmi
MORE BYMasharraf Shahryar Kazmi
āñkheñ hamārī ġham se jo gulnār ho ga.iiñ
kuchh sā'ateñ bhī dil pe tire baar ho ga.iiñ
iz.hār-e-ārzū na kabhī ham se ho sakā
rāheñ vafā kī aur bhī dushvār ho ga.iiñ
sharf-e-ġhazal milā hai 'musharraf' ko phir se aaj
shām-e-ġhazal kī sā'ateñ shahkār ho ga.iiñ
aankhen hamari gham se jo gulnar ho gain
kuchh sa'aten bhi dil pe tere bar ho gain
izhaar-e-arzu na kabhi hum se ho saka
rahen wafa ki aur bhi dushwar ho gain
sharf-e-ghazal mila hai 'musharraf' ko phir se aaj
sham-e-ghazal ki sa'aten shahkar ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.