aankhen jahan hon band andhera wahin se hai
āñkheñ jahāñ hoñ band añdherā vahīñ se hai
jaage haiñ ham jahāñ se saverā vahīñ se hai
jis jā se hai shurūa mirā kunj-e-ārzū
saaya bhī naḳhl-e-ġham kā ghanerā vahīñ se hai
ujḌā huā vo bāġh-e-jahāñ ham judā hue
āseb-e-ġham kā dil pe baserā vahīñ se hai
duur ik charāġh-e-kushta paḌā hai zamīn par
shāyad sitam kī raat kā Derā vahīñ se hai
aankhen jahan hon band andhera wahin se hai
jage hain hum jahan se sawera wahin se hai
jis ja se hai shurua mera kunj-e-arzu
saya bhi naKHl-e-gham ka ghanera wahin se hai
ujDa hua wo bagh-e-jahan hum juda hue
aaseb-e-gham ka dil pe basera wahin se hai
dur ek charagh-e-kushta paDa hai zamin par
shayad sitam ki raat ka Dera wahin se hai
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 225)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.