aankhen raushan lahje ras ke pyale ji
āñkheñ raushan lahje ras ke pyāle jī
ye haiñ log mohabbat karne vaale jī
kisī kisī kā husn nashīlā hotā hai
kuchh shā.ir bhī hote haiñ matvāle jī
lamha lamha jakḌā jaatā huuñ in meñ
yādeñ haiñ yā haiñ makḌī ke jaale jī
us kī aañkh se aañsū ban kar bah nikle
mere paañv meñ paḌne vaale chhāle jī
rātoñ kā ahvāl kahāñ chhup saktā hai
sab kah dete haiñ āñkhoñ ke haale jī
maiñ ne hañs kar Taal diyā go logoñ ne
aap ke naam ke patthar ḳhuub uchhāle jī
gañgū telī aas lagā.e baiThā hai
jaa.e raaja bhoj to raaj sambhāle jī
aap ne gholā zahar fazāoñ meñ lekin
ham ne phuul ugaa.e buuTe paale jī
jañg kī bāteñ karne vaalo yaad rahe
bachte haiñ bas aaheñ aañsū naale jī
aag ugalte saañp kā shikva bejā hai
maiñ ne to bas apne phuul sambhāle jī
baap kī aañkh se mere aañsū Tapke the
bas us din se hoñToñ par haiñ taale jī
aankhen raushan lahje ras ke pyale ji
ye hain log mohabbat karne wale ji
kisi kisi ka husn nashila hota hai
kuchh shair bhi hote hain matwale ji
lamha lamha jakDa jata hun in mein
yaaden hain ya hain makDi ke jale ji
us ki aankh se aansu ban kar bah nikle
mere panw mein paDne wale chhaale ji
raaton ka ahwal kahan chhup sakta hai
sab kah dete hain aankhon ke haale ji
main ne hans kar Tal diya go logon ne
aap ke nam ke patthar KHub uchhaale ji
gangu teli aas lagae baiTha hai
jae raja bhoj to raj sambhaale ji
aap ne ghola zahar fazaon mein lekin
hum ne phul ugae buTe pale ji
jang ki baaten karne walo yaad rahe
bachte hain bas aahen aansu nale ji
aag ugalte sanp ka shikwa beja hai
main ne to bas apne phul sambhaale ji
bap ki aankh se mere aansu Tapke the
bas us din se honTon par hain tale ji
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.