aankhon ka qusur kuchh nahin hai
āñkhoñ kā qusūr kuchh nahīñ hai
jismoñ se ġhilāf haT ga.e haiñ
jo baal kī khaal utārte the
sahrāoñ meñ ghaas kāTte haiñ
ham log to ho ga.e haiñ pāgal
ḳhvāboñ kī kitāb likh rahe haiñ
insān meñ kyā bharā huā hai
hoñToñ se dimāġh tak sile haiñ
ye kaise zabān se adā hoñ
ḳhāke jo diloñ meñ an-kahe haiñ
aankhon ka qusur kuchh nahin hai
jismon se ghilaf haT gae hain
jo baal ki khaal utarte the
sahraon mein ghas kaTte hain
hum log to ho gae hain pagal
KHwabon ki kitab likh rahe hain
insan mein kya bhara hua hai
honTon se dimagh tak sile hain
ye kaise zaban se ada hon
KHake jo dilon mein an-kahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.