aankhon ke sath use mera hansna nahin pasand
āñkhoñ ke saath use mirā hañsnā nahīñ pasand
dariyā ho yā ho ghaav use gahrā nahīñ pasand
tum ko to mujh se guftugū karnā pasand thā
ab kyoñ mirī mazār pe ruknā nahīñ pasand
tārīḳh aa chukī hai udhar card chhap ga.e
ab kab kahegī tujh ko vo laḌkā nahīñ pasand
kapḌoñ se itr tak yā kitāboñ se haar tak
vo bole to sahī ki use kyā nahīñ pasand
ik din paḌā milā thā mujhe rāstoñ pe aur
ik din sunā use mirā chhūnā nahīñ pasand
aankhon ke sath use mera hansna nahin pasand
dariya ho ya ho ghaw use gahra nahin pasand
tum ko to mujh se guftugu karna pasand tha
ab kyon meri mazar pe rukna nahin pasand
tariKH aa chuki hai udhar card chhap gae
ab kab kahegi tujh ko wo laDka nahin pasand
kapDon se itr tak ya kitabon se haar tak
wo bole to sahi ki use kya nahin pasand
ek din paDa mila tha mujhe raston pe aur
ek din suna use mera chhuna nahin pasand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.