aankhon ke zawiye bhi wahin par jaDe rahe
āñkhoñ ke zāviye bhī vahīñ par jaḌe rahe
kuchh dil-fareb log jahāñ par khaḌe rahe
aayā nahīñ ḳhayāl kisī rāhgīr ko
kuñ.eñ meñ saat saal to ham bhī paḌe rahe
vo kar rahe the bāteñ sarāsar ḳhilāf jab
jirge meñ kuchh bhī kahne se ham kyoñ Dare rahe
ham jānte haiñ jhelīñ haiñ tum ne aziyyateñ
kuchh imtihān ham pe bhī aksar kaḌe rahe
hālāñki dhamkiyāñ bhī 'sahar' bār-hā milīñ
sachche the so zabān pe apnī aḌe rahe
aankhon ke zawiye bhi wahin par jaDe rahe
kuchh dil-fareb log jahan par khaDe rahe
aaya nahin KHayal kisi rahgir ko
kunen mein sat sal to hum bhi paDe rahe
wo kar rahe the baaten sarasar KHilaf jab
jirge mein kuchh bhi kahne se hum kyon Dare rahe
hum jaante hain jhelin hain tum ne aziyyaten
kuchh imtihan hum pe bhi aksar kaDe rahe
haalanki dhamkiyan bhi 'sahar' bar-ha milin
sachche the so zaban pe apni aDe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.