aankhon ko kuchh KHwab dikha kar manenge
āñkhoñ ko kuchh ḳhvāb dikhā kar māneñge
aap hamāre hosh uḌā kar māneñge
lagtā hai ye paanī bechne vaale log
har bastī meñ aag lagā kar māneñge
tujh ko chhūne kī chāhat meñ dīvāne
shāyad apne haath jalā kar māneñge
tai to ye thā pichhlī bāteñ bhūlnī haiñ
aap magar sab yaad dilā kar māneñge
ghar kā jhagḌā gar bāhar aa jā.egā
bāhar vaale andar aa kar māneñge
chāhe phir āvāz chalī jaa.e lekin
ham us ko āvāz lagā kar māneñge
ghar pakkā karne kī bāteñ karte haiñ
ya.anī vo dīvār uThā kar māneñge
aankhon ko kuchh KHwab dikha kar manenge
aap hamare hosh uDa kar manenge
lagta hai ye pani bechne wale log
har basti mein aag laga kar manenge
tujh ko chhune ki chahat mein diwane
shayad apne hath jala kar manenge
tai to ye tha pichhli baaten bhulni hain
aap magar sab yaad dila kar manenge
ghar ka jhagDa gar bahar aa jaega
bahar wale andar aa kar manenge
chahe phir aawaz chali jae lekin
hum us ko aawaz laga kar manenge
ghar pakka karne ki baaten karte hain
yani wo diwar uTha kar manenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.