aankhon mein base ho tum aankhon mein ayan ho kar
āñkhoñ meñ base ho tum āñkhoñ meñ ayaañ ho kar
dil hī meñ na rah jaao āñkhoñ se nihāñ ho kar
haañ lab pe bhī aa jaao andāz-e-bayāñ ho kar
āñkhoñ meñ bhī aa jaao ab dil kī zabāñ ho kar
khul jaao kabhī mujh se mil jaao kabhī mujh ko
rahte ho mire dil meñ ulfat kā gumāñ ho kar
hai shaiḳh kā ye aalam allāh re badmastī
āñkhoñ hī se zāhir hai aayā hai jahāñ ho kar
badnāmī o barbādī anjām-e-mohabbat haiñ
duniyā meñ rahā 'farhat' rusvā-e-jahāñ ho kar
aankhon mein base ho tum aankhon mein ayan ho kar
dil hi mein na rah jao aankhon se nihan ho kar
han lab pe bhi aa jao andaz-e-bayan ho kar
aankhon mein bhi aa jao ab dil ki zaban ho kar
khul jao kabhi mujh se mil jao kabhi mujh ko
rahte ho mere dil mein ulfat ka guman ho kar
hai shaiKH ka ye aalam allah re badmasti
aankhon hi se zahir hai aaya hai jahan ho kar
badnami o barbaadi anjam-e-mohabbat hain
duniya mein raha 'farhat' ruswa-e-jahan ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.