aankhon mein bij KHwab ka bone nahin diya
āñkhoñ meñ biij ḳhvāb kā bone nahīñ diyā
ik pal bhī us ne chain se sone nahīñ diyā
ashkoñ se dil kā zaḳhm bhī dhone nahīñ diyā
mujh ko ḳhud apne haal pe rone nahīñ diyā
ye aur baat hai vo mirā ho nahīñ sakā
lekin mujhe kisī kā bhī hone nahīñ diyā
gum honā chāhtā thā maiñ ḳhud apne aap meñ
mujh ko tire gumān ne khone nahīñ diyā
shāmil hai us kī zaat meñ merā vajūd bhī
tanhā kisī bhī moḌ pe hone nahīñ diyā
aankhon mein bij KHwab ka bone nahin diya
ek pal bhi us ne chain se sone nahin diya
ashkon se dil ka zaKHm bhi dhone nahin diya
mujh ko KHud apne haal pe rone nahin diya
ye aur baat hai wo mera ho nahin saka
lekin mujhe kisi ka bhi hone nahin diya
gum hona chahta tha main KHud apne aap mein
mujh ko tere guman ne khone nahin diya
shamil hai us ki zat mein mera wajud bhi
tanha kisi bhi moD pe hone nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.