aankhon mein dhup dil mein hararat lahu ki thi
āñkhoñ meñ dhuup dil meñ harārat lahū kī thī
ātish javān thā to qayāmat lahū kī thī
zaḳhmī huā badan to vatan yaad aa gayā
apnī girah meñ ek rivāyat lahū kī thī
ḳhanjar chalā ke mujh pe bahut ġham-zada huā
bhaa.ī ke har sulūk meñ shiddat lahū kī thī
koh-e-girāñ ke sāmne teshe kī kyā bisāt
ahd-e-junūñ meñ saarī sharārat lahū kī thī
ruḳhsār o chashm-o-lab gul o sahbā shafaq hinā
duniyā-e-rang-o-bū meñ tijārat lahū kī thī
'ḳhālid' har ek ġham meñ barābar sharīk thā
saare jahāñ ke biich rifāqat lahū kī thī
aankhon mein dhup dil mein hararat lahu ki thi
aatish jawan tha to qayamat lahu ki thi
zaKHmi hua badan to watan yaad aa gaya
apni girah mein ek riwayat lahu ki thi
KHanjar chala ke mujh pe bahut gham-zada hua
bhai ke har suluk mein shiddat lahu ki thi
koh-e-giran ke samne teshe ki kya bisat
ahd-e-junun mein sari shararat lahu ki thi
ruKHsar o chashm-o-lab gul o sahba shafaq hina
duniya-e-rang-o-bu mein tijarat lahu ki thi
'KHalid' har ek gham mein barabar sharik tha
sare jahan ke bich rifaqat lahu ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.