aankhon mein ek dasht hai kab se ruka hua
āñkhoñ meñ ek dasht hai kab se rukā huā
pahlū meñ ik charāġh hai aadhā jalā huā
muddat se mere dil meñ hai koī basā huā
mahram hai merī zaat kā garche chhupā huā
rakhā huā hai chāñd kī dahlīz par qadam
rasta hai raushnī kā samundar banā huā
pahlī nazar meñ umr kā saudā huā thā tai
sach baat hai ki aañkh kā va.ada vafā huā
ḳhushbū kā raaz khol rahā hai jahān par
sheroñ meñ koī shaḳhs hai shāyad chhupā huā
dasht-e-fanā meñ DhūñD liyā apnī zaat ko
merā kahīñ na honā hī merī baqā huā
titlī chaman meñ aaj bahut chup lagī mujhe
jaise kisī gulāb pe ho dil rukā huā
kahne lagī huuñ sher maiñ 'nīlam' ke saath saath
shauq-e-navā-e-dasht mirā ham-navā huā
aankhon mein ek dasht hai kab se ruka hua
pahlu mein ek charagh hai aadha jala hua
muddat se mere dil mein hai koi basa hua
mahram hai meri zat ka garche chhupa hua
rakha hua hai chand ki dahliz par qadam
rasta hai raushni ka samundar bana hua
pahli nazar mein umr ka sauda hua tha tai
sach baat hai ki aankh ka wada wafa hua
KHushbu ka raaz khol raha hai jahan par
sheron mein koi shaKHs hai shayad chhupa hua
dasht-e-fana mein DhunD liya apni zat ko
mera kahin na hona hi meri baqa hua
titli chaman mein aaj bahut chup lagi mujhe
jaise kisi gulab pe ho dil ruka hua
kahne lagi hun sher main 'nilam' ke sath sath
shauq-e-nawa-e-dasht mera ham-nawa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.