aankhon mein jo ek KHwab sa hai
āñkhoñ meñ jo ek ḳhvāb sā hai
aalam kyā kyā dikhā rahā hai
aalam ik intizār kā hai
khultā nahīñ intizār kyā hai
qatra qatra jo pī chukā hai
dariyā dariyā pukārtā hai
kyā kah ga.ī zindagī kī aahaT
jo hai kisī soch meñ khaḌā hai
ai mauj-e-nasīm-e-sub.h-gāhī
har ġhunche kā dil dhaḌak rahā hai
tum aur zarā qarīb aa jaao
ḳhanjar rag-e-jāñ tak aa gayā hai
hai dīdanī rañg-e-rū-e-qātil
har zaḳhm javāb māñgtā hai
ai dasht-e-junūñ gavāh rahnā
kāñTe haiñ aur ik barahna-pā hai
āsār achchhe nahīñ shab-e-hijr
dil ko kuchh qarār sā hai
lafzoñ ko zabān mil rahī hai
shāyad 'aḳhtar' ġhazal-sarā hai
aankhon mein jo ek KHwab sa hai
aalam kya kya dikha raha hai
aalam ek intizar ka hai
khulta nahin intizar kya hai
qatra qatra jo pi chuka hai
dariya dariya pukarta hai
kya kah gai zindagi ki aahaT
jo hai kisi soch mein khaDa hai
ai mauj-e-nasim-e-subh-gahi
har ghunche ka dil dhaDak raha hai
tum aur zara qarib aa jao
KHanjar rag-e-jaan tak aa gaya hai
hai didani rang-e-ru-e-qatil
har zaKHm jawab mangta hai
ai dasht-e-junun gawah rahna
kanTe hain aur ek barahna-pa hai
aasar achchhe nahin shab-e-hijr
dil ko kuchh qarar sa hai
lafzon ko zaban mil rahi hai
shayad 'aKHtar' ghazal-sara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.