aankhon mein KHwab aur rag-o-pai mein KHun nahin
āñkhoñ meñ ḳhvāb aur rag-o-pai meñ ḳhuuñ nahīñ
lailā-o-dasht hai magar ab vo junūñ nahīñ
ye iztirāb aur bhī baḌhtā hai ruuh meñ
ab ḳhvāb meñ bhī mujh ko mayassar sukūñ nahīñ
tinkā sā ban ke rah ga.e haiñ sat.h-e-āb par
ham bahnā chāhte the ai dariyā pa yuuñ nahīñ
ḳhālī paḌī huī hai mirī kā.enāt-e-dil
ġham bhī koī bachā huā ab ke darūñ nahīñ
tūfān-o-barshgāl se go purza purza hai
kashtī kā bādbān magar sar nigūñ nahīñ
āvāz mar rahī hai magar shahr meñ 'figār'
koī malūl-e-harf kī mayyat pe kyoñ nahīñ
aankhon mein KHwab aur rag-o-pai mein KHun nahin
laila-o-dasht hai magar ab wo junun nahin
ye iztirab aur bhi baDhta hai ruh mein
ab KHwab mein bhi mujh ko mayassar sukun nahin
tinka sa ban ke rah gae hain sath-e-ab par
hum bahna chahte the ai dariya pa yun nahin
KHali paDi hui hai meri kaenat-e-dil
gham bhi koi bacha hua ab ke darun nahin
tufan-o-barshgal se go purza purza hai
kashti ka baadban magar sar nigun nahin
aawaz mar rahi hai magar shahr mein 'figar'
koi malul-e-harf ki mayyat pe kyon nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.