aankhon mein KHwab roz nai rahguzar ka hai
aankhon mein KHwab roz nai rahguzar ka hai
Syed Khursheed Alam Kakwi
MORE BYSyed Khursheed Alam Kakwi
āñkhoñ meñ ḳhvāb roz na.ī rahguzar kā hai
manzil ke aur aage irāda safar kā hai
dil aayā bhī to apnā usī be-niyāz par
ye bhī qusūr apne hī zauq-e-nazar kā hai
hosh-o-ḳhirad gañvā diyā dīvāne ho ga.e
saarā fusūñ ye aap kī chashm-o-nazar kā hai
suljhī koī girah to bahut ham ulajh ga.e
qissa tamām gesū-e-tā-ba-kamar kā hai
ye roz roz kūcha-e-jānāñ kī gardisheñ
'ḳhurshīd' ham-rikāb kisī dar-ba-dar kā hai
aankhon mein KHwab roz nai rahguzar ka hai
manzil ke aur aage irada safar ka hai
dil aaya bhi to apna usi be-niyaz par
ye bhi qusur apne hi zauq-e-nazar ka hai
hosh-o-KHirad ganwa diya diwane ho gae
sara fusun ye aap ki chashm-o-nazar ka hai
suljhi koi girah to bahut hum ulajh gae
qissa tamam gesu-e-ta-ba-kamar ka hai
ye roz roz kucha-e-jaanan ki gardishen
'KHurshid' ham-rikab kisi dar-ba-dar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.