aankhon mein meri phirti hai taswir kisi ki
āñkhoñ meñ mirī phirtī hai tasvīr kisī kī
tasvīr meñ huuñ merī hai tasvīr kisī kī
but apne hī ko kahte haiñ sab ahl-e-tasavvuf
tasvīr-e-butāñ hotī hai tasvīr kisī kī
hai pesh-o-aqab dil ke mire aur chap-o-rāst
har lahza miyāñ phirtī hai tasvīr kisī kī
hastī hai kahīñ aur na bastī hai kisī kī
dekhā to yahī hastī hai tasvīr kisī kī
tasvīr mirī mere musavvir kī hai 'mardāñ'
har-dam ye sadā detī hai tasvīr kisī kī
aankhon mein meri phirti hai taswir kisi ki
taswir mein hun meri hai taswir kisi ki
but apne hi ko kahte hain sab ahl-e-tasawwuf
taswir-e-butan hoti hai taswir kisi ki
hai pesh-o-aqab dil ke mere aur chap-o-rast
har lahza miyan phirti hai taswir kisi ki
hasti hai kahin aur na basti hai kisi ki
dekha to yahi hasti hai taswir kisi ki
taswir meri mere musawwir ki hai 'mardan'
har-dam ye sada deti hai taswir kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.