aankhon mein tairti hui yaadon ki jhil hai
aankhon mein tairti hui yaadon ki jhil hai
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
āñkhoñ meñ tairtī huī yādoñ kī jhiil hai
ye dil tujhe bhulāne meñ thoḌā baḳhīl hai
hotī thī tere saath hī mahsūs zindagī
ki terā honā zindagī kī ik dalīl hai
tasvīr terī dil meñ lagā.ī huī hai aur
mere gale meñ aTkā huā us kā kiil hai
bichhḌe haiñ tujh se to hameñ andāza ye huā
ik aam raat se shab-e-hijrāñ tavīl hai
kyā kyā kahūñ maiñ tum se judā.ī ke moḌ par
sharmindagī ziyāda hai mohlat qalīl hai
aankhon mein tairti hui yaadon ki jhil hai
ye dil tujhe bhulane mein thoDa baKHil hai
hoti thi tere sath hi mahsus zindagi
ki tera hona zindagi ki ek dalil hai
taswir teri dil mein lagai hui hai aur
mere gale mein aTka hua us ka kil hai
bichhDe hain tujh se to hamein andaza ye hua
ek aam raat se shab-e-hijran tawil hai
kya kya kahun main tum se judai ke moD par
sharmindagi ziyaada hai mohlat qalil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.