Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein to aansu ko sukun tak nahin milta

Fazl Lakhnavi

aankhon mein to aansu ko sukun tak nahin milta

Fazl Lakhnavi

MORE BYFazl Lakhnavi

    āñkhoñ meñ to aañsū ko sukūñ tak nahīñ miltā

    dāman pe jab aatā hai to hotā hai ravāñ aur

    ai quvvat-e-parvāz zarā aur sahārā

    sunte haiñ sitāroñ meñ haiñ ābād jahāñ aur

    gahrā ho agar sajda to khiñch aate haiñ jalve

    peshānī-e-ālam pe ubhartā hai nishāñ aur

    taqsīm agar hotā hai sho.aloñ meñ nasheman

    jalte hue tinkoñ se lipaTtā hai dhuāñ aur

    ho rañg pe mahfil to badaltī haiñ fazā.eñ

    ai 'fazl' sañvar jaatā hai andāz-e-bayāñ aur

    aankhon mein to aansu ko sukun tak nahin milta

    daman pe jab aata hai to hota hai rawan aur

    ai quwwat-e-parwaz zara aur sahaara

    sunte hain sitaron mein hain aabaad jahan aur

    gahra ho agar sajda to khinch aate hain jalwe

    peshani-e-alam pe ubharta hai nishan aur

    taqsim agar hota hai shoalon mein nasheman

    jalte hue tinkon se lipaTta hai dhuan aur

    ho rang pe mahfil to badalti hain fazaen

    ai 'fazl' sanwar jata hai andaz-e-bayan aur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now