aankhon mein tufan bahut hai
āñkhoñ meñ tūfān bahut hai
bārish kā imkān bahut hai
rāh-e-vafā par chalne vaale
ye rasta vīrān bahut hai
dil har zid manvā letā hai
ye bachcha shaitān bahut hai
ek zarā īmāñ bik jaa.e
phir sab kuchh āsān bahut hai
dil kā aalam mahkāne ko
terī ik muskān bahut hai
aankhon mein tufan bahut hai
barish ka imkan bahut hai
rah-e-wafa par chalne wale
ye rasta viran bahut hai
dil har zid manwa leta hai
ye bachcha shaitan bahut hai
ek zara iman bik jae
phir sab kuchh aasan bahut hai
dil ka aalam mahkane ko
teri ek muskan bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.