aankhon se maine chakh liya mausam ke zahr ko
āñkhoñ se maiñ ne chakh liyā mausam ke zahr ko
lekin vajūd sah na sakā us ke qahr ko
pheñkā thā kis ne sañg-e-havas raat ḳhvāb meñ
phir DhūñDhtī hai niiñd usī pichhle pahr ko
miTTī ke sab makān zamīñ-doz ho ga.e
naqshe meñ ab talāsh karo apne shahr ko
dariyā-e-shab kā TuuT gayā hai sukūt aaj
muddat ke baa'd dekh ke kirnoñ kī nahr ko
saa.e ke saath vaqt ke dauḌā vo der tak
palkoñ meñ phir chhupā liyā lamhoñ ke qahr ko
paimāna-e-gulāb ko hoñToñ se chuum kar
muTThī meñ qaid kar liyā ḳhushbū kī lahr ko
aankhon se main ne chakh liya mausam ke zahr ko
lekin wajud sah na saka us ke qahr ko
phenka tha kis ne sang-e-hawas raat KHwab mein
phir DhunDhti hai nind usi pichhle pahr ko
miTTi ke sab makan zamin-doz ho gae
naqshe mein ab talash karo apne shahr ko
dariya-e-shab ka TuT gaya hai sukut aaj
muddat ke ba'd dekh ke kirnon ki nahr ko
sae ke sath waqt ke dauDa wo der tak
palkon mein phir chhupa liya lamhon ke qahr ko
paimana-e-gulab ko honTon se chum kar
muTThi mein qaid kar liya KHushbu ki lahr ko
- Book : Mukhtalif (Pg. 55)
- Author : Aslam Azad
- Publication : Azad Book centre, Patna (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.