aankhon se meri is liye lali nahin jati
āñkhoñ se mirī is liye laalī nahīñ jaatī
yādoñ se koī raat jo ḳhālī nahīñ jaatī
ab umr na mausam na vo raste ki vo palTe
is dil kī magar ḳhām-ḳhayālī nahīñ jaatī
māñge to agar jaan bhī hañs ke tujhe de deñ
terī to koī baat bhī Taalī nahīñ jaatī
aa.e koī aa kar ye tire dard sambhāle
ham se to ye jāgīr sambhālī nahīñ jaatī
ma.alūm hameñ bhī haiñ bahut se tire qisse
par baat tirī ham se uchhālī nahīñ jaatī
hamrāh tire phuul khilātī thī jo dil meñ
ab shaam vahī dard se ḳhālī nahīñ jaatī
ham jaan se jā.eñge tabhī baat banegī
tum se to koī raah nikālī nahīñ jaatī
aankhon se meri is liye lali nahin jati
yaadon se koi raat jo KHali nahin jati
ab umr na mausam na wo raste ki wo palTe
is dil ki magar KHam-KHayali nahin jati
mange to agar jaan bhi hans ke tujhe de den
teri to koi baat bhi Tali nahin jati
aae koi aa kar ye tere dard sambhaale
hum se to ye jagir sambhaali nahin jati
malum hamein bhi hain bahut se tere qisse
par baat teri hum se uchhaali nahin jati
hamrah tere phul khilati thi jo dil mein
ab sham wahi dard se KHali nahin jati
hum jaan se jaenge tabhi baat banegi
tum se to koi rah nikali nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.